Har Phool ki ajab kahani hai

Har Phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu dard ka ehsaas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai
Taraste they jo milne ko humse kabhi,
Aaj woh kyun mere saaye se katrate hain.
Hum bhi wahi hain, dil bhi wahi hai,
Na jane kyu log badal jate hain
Khuda bachaye marz-e-ishq se,
Kehte hai ye aarzah accha nahin hota.
Hum aah bhi lete hai, tho ho jaate hai badnaam.
Wo qatl bhi karte hai to charcha nahin hota...

No comments: