Waqt de bandhan

Har koi hee zikar oss da chhed lainda hai sadaa,
Ais khaatir main kissay day kol hee behnda nahi,

Khabray dil nu hor kis manzil dee hai haaley talaash,
Kol usday baith kay vee eh chain vich rehnda nahi,

Waqt de bandhan ch phass ke khatam rishte ho gaye,
Uss day patran vich mera hun zikar tak rehnda nahi,

Shauq saada rajj kay na jeeviya na mitt gaya,
Ais ton vadh kay sittam eh hor hun sehnda nahi,

Arsh tay jaa kay assan nu kujh nahi miliya hazoor,
Sharam da eh maariya dil heith hun lehnda nahi.

Sehraye

Khud Apne Liye Beth Ke Sochengey Kisi Din
Yun Hai Ke Tujhe Bhool Ke Dekhengey Kisi Din...

Bhatkey Hoey Phirtey Hain Kayi Lafz Jo Dil Mein
Dunya Ne Diya Waqt To Likhengey Kisi Din...

Hil Jayengey Ikk Baar Tau Arshon Ke Dar-O-Baam
Yeh Khaak Nasheen Log Jo Bolengey Kisi Din...

Apas Ki Kisi Baat Ka Milta Hi Nahin Waqt
Har Baar Yeh Kehtey Hain Ke Bethengey Kisi Din...

Ae Jaan Teri Yaad Ke Benaam Parinday
Shakhon Pe Mere Dard Ki Utrengey Kisi Din...

Jaati Hai Kisi Jheel Ki Gehrayi Kahan Tak
Ankhon Mein Teri Doob Ke Dekhengey Kisi Din...

Khush Boo Se Bhari Shaam Mein Jugnoo Ke Qalam Se
Ik Nazam Tere Wastey Likhengey Kisi Din...

Soyengey Teri Aankh Ki Khuluwat Mein Kisi Raat
saaye mein terii zulf ke jaagenge kisii din.....

Sehraye Kharabi Ki Isi Gard-E-Safar Se
Pholon Se Bhare Rastey Niklengey Kisi Din...

Khushbu Ki Tarah,Misal-E-Saba,Khwaab Numa Se
Galiyon Se Tere Shehar Ki Guzrengey Kisi Din...

"Hum" Hai Yehi Ab Ke Kafan Bandh Ker Sir Per
Uss Shehar-e-Sitamgar Mein Jayengey Kisi Din...