Pyar karna chod diya.

Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya
Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya

Sab beeti hui baatein bhula di hum ne
Ab Dil main maazi basana chor diya

Kaanton se bhar dete hain log daaman
Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya

Kabhi na maangen ga kisi se bheek Mohabbat ki
Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya

zindagi teri rah main shab-e-arzo teri chah may
jo ojar gaya wo basa nahi jo bichar gaya wo mila nahi
jo dil-o-nazar ka suroor tha meray paas reh kay bhi door tha
wahi aik gulaab umeed ka meri shakh-e- jaan pay khila nahi

Khushi Mil Jaye....


kitabo kay panno ko palat kay sochta hu,

yu palat jaye meri zindagi tho kya baat hai,

khwabon mein roj milta ho jo haqikat mein aajaaye tho kya baat hai,

kuch matlab kay kiye dhundte hai mujh ko,

bina mtlab jo aaye to kya baat hai,

jo sarifon ki batoo mein baat na ho,

wo koi sharabi keh jaye tho kya baat hai,

Apne rehne tak tho khusi dunga sab ko,

jo meri maut se khushi mil jaye kisi ko tho kya baat hai.

ZAMAANE KA DASTOOR HAI

HAR SAANS MEIN USKA NOOR HAI

PAR DEED SE KITNA DOOR HAI

CHALO CHAND SE BAAT KARE(N)

WO KYON ITNA MAGHROOR HAI

ROZ – O – SHAB PATHHAR SOTE

NAQQASH MAGAR MAJBOOR HAI

JANAA KHALI HATH HAI SABKO

ZAMAANE KA DASTOOR HAI

DAGHA QALAM SE NAHEE KARENGE

HAR SAZAA HAME(N) MANZOOR HAI

PATAA POOCHHTI HAI RUSWAAI

NAAM JIS KA MASHHOOR HAI

HAR BALAA SE HAI WO BAALAA

SAR PE JAHAA(N) SINDOOR HAI

DARD WO JANE KYA ZULMAT KA

HAR PAL JAHAA(N) PE NOOR HAI

TUM BHI SO JAAO “ AHSAAS ”

ABHI SHAB JARAA MAKHMOOR HAI