New Ghazals

1. phiray raah say woh yahaN aatay aatay
ajal mer rahee too kahaaN aatay aatay
2. mujhe yaad karney say yeh muddaa thaa
nikal jaay dum hitchkyaaN aatay aatay
3. kalaija meray mooN ko aaye ga ik din
yooNhi lub pe aah-o-fooGHaN aatay aatay
4. nateeja na nikla, thakay sub payami
wahaN jaatay jaatay, yahaN aatay aatay
5. naheeN khel, ay 'daagh'! yaaroN say keh do
Keh aatee hae Urdu zUbaaN aatay aatay
Dictionary : ajal = death; muddaa = a wish; hitchkeeyaaN = hiccoughs
kalaija = heart; aah-o-fooGHaN = cry of pain or distress; payami = messenger





1. raaz-e-ulfat chupa ke dekh liya
dil bahut kuch jalaa ke dekh liya
2. woh mere ho ke bhi mere na huey
un ko apna bana ke dekh liya
3. aur kya dekhne ko baakhi haiN
aap se dil laga ke dekh liya
4. 'faiz', takmeel-e-gham bhi na ho sake
ishq ko aazmaa ke dekh liya
Dictionary : raaz-e-ulfat - secerts of love/closeness; takmeel-e-gham - completion/end of sorrows






1. sar meiN saudaa bhi nahiN dil meiN tamanaa bhi nahiN
lekin iss tarq-e-muhabbat ka bharosaa bhi nahiN
2. yooN to hangaame uthathe nahiN deewaana-e-ishq
magar ei dost kuchch aisoN ka thikaanaa bhi nahiN
3. muddateN guzriN teri yaad bhi aayee na hameN
aur ham bhool gaye hoN tujhe, aisaa bhi nahiN
4. muNh se ham apne buraa to nahiN kehthe, ke 'firaq'
haiN tera dost magar aadmi achchaa bhi nahiN









1. auroN ko kush karte rahe aur khud gham sehte rahe
zindagi bhar hum ek gham gusaar ki talaash karte rahe
[gham gusaar - a sympathiser; one to share sorrows]
2. na koi hamraaz mila, na koi hamsafar ka saath
jahaN bhi gaye, siraf yaad-e-maazi ko saath karte rahe
[yaad-e-maazi - thoughts from the past]
3. haiN rooh ussi dehleez par, bas jism haiN yahaN
kiska haiN yeh kasoor, bas yahi sochthe rahe
4. yooN tho manzil saamne thi magar hamen na thi koi talab
caravan guzrthe rahe aur hum siraf dekthe rahe
[talab - desire/wish]
5. khud pe afsos karne se ab kya fayda hoga, 'ramesh'
tum apne liye kab, siraf doosroN ke liye jeethe rahe








1. khayal keejiye kya kaam aaj maine kiya
jab un ne di mujhe gaali, salaam maine kiya
2. kaha yeh sabr ne dil se ke lo khuda haafeez
ke haq-e-bandagee apna, tamaam maine kya
3. jhidak ke kehne lage, lab chale bahut ab tum
kabhi jo bhool ke unse, kalaam maine kiya
4. hawas yeh reh gayee, sahib ne par kabhi na kaha
ke aaj se tujhe 'insha', gulaam maine kiya
Dictionary : sabr - patience; haq-e-bandagee - duty of loyalty towards a friend;
jhidakna - show sudden temper or outburst; hawas - ambition/desire/lust;
kalaam - discourse/oration/a work/composition/objection






Kuch aur to khuda say nahin chahtay hain hum,
Tum say juda na ho yeh dua maangtay hain hum !
Is mein bala jahan say darnay ki baat kya,
Hum har jagah kahengay tumhay chahtay hain hum !
Lagta hai yeh ki jheel ki gharayee kuch nahin,
Unki haseen aankh mein jab jaanktay hain hum !
Maangay agar woh jaan bhi haazir hai doston,
Unki koi bhi baat kahan taaltay hain hum !
Vaada hai unka raat mein aanay ka ae `Murad'
Har raat is khayaal say ab jaagtay hain hum !
Kuch aur to khuda say nahin chahtay hain hum,
Tum say juda na ho yeh dua maangtay hain hum !
****************************************************************

1. ret par likh ke mera naam mitaaya na karo
ankheN sach bholthi haiN, pyaar chupaaya na karo
2. log har baat ka afsaana banaa lethe haiN
sabko haalaath ki rudaad sunaaya na karo
sad state
3. yeh zaroori nahiN har shaqs massiah hi ho
pyaar ke zakm amaanat haiN, dikhaaya na karo
4. shaher-e-ehsaas meiN patraav bahut haiN, 'mohsin'
dil ko sheeshe ke jharoNkhoN meiN sajaaya na karo

paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun
dast-bastaa shahar me.n khole merii zanjiir kaun

[rihaa_ii = freedom; tadabiir = solution/way]
[dast-bastaa = tied hands]

meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le
kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun

[munsif = judge; fard-e-jurm = tale of guilt]
[tahariir = writing]

aaj darvaazo.n pe dastak jaanii pahachaanii sii hai
aaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun

[taaziir = punishment]

niind jab Khvaabo.n se pyaarii ho to aise ahad me.n
Khvaab dekhe kaun aur Khvaabo.n ko de taabiir kaun

[ahad = era/times]

ret abhii pichhale makaano.n kii na vaapas aa_ii thii
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun

[lab-e-saahil = on the shoreline; taamiir = construct]

saare rishte hijrato.n me.n saath dete hai.n to phir
shahar se jaate hue hotaa hai daaman_giir kaun

merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa_ii ne
beridaa_ii ko merii phir de gayaa tashahiir kaun

dushmano.n ke saath mere dost bhii aazaad hai.n
dekhanaa hai khe.nchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun


Kya khabar thi is tarah say woh juda ho jayega,
Khawab mein bhi uska milna haadsa ho jayega !
Zindagi ki qaid-e-gham say kya nikalogay usay,
Maut jab aa jaayegi to khud riha ho jayega !
Dost bankar usko chaha yeh kabhi socha na tha,
Dosti hi dosti mein woh khuda ho jayega !
Uska parda hoga kya jiska ki parda noor hai,
Jo bhi usko dekh lega woh fida ho jayega !
Kya khabar thi is tarah say woh juda ho jayega,
Khawab mein bhi uska milna haadsa ho jayega !
- Rustom Sehgal `Wafa'
***************************************************************



1. baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai, teri mehfil, kabhi aisi to na thi
2. le gayaa cheen ke kaun aaj teraa sabr-o-qaraar?
beqaraari tujhe, ae dil! kabhi aisi to na thi
3. un ki aaNkhoN ne, KHudaa jaane, kiyaa kyaa jaadoo
yeh tabeeyat meri maa'il(attracted) kabhi aisi to na thi
4. kyaa sabab tu jo bigaD.taa hai 'zafar' se har baar?
KHoo teri hoor-e-shimaa'il kabhi aisi to na thi
Dictionary : sabr - patience; qaraar - peace; maa'il - attracted;
KHoo - habit; hoor - angel; shimaa'il - the very best amongst the lot







Kya hua tera har ik roz mujhay khat likhna,
Aur khat may dil-e-betaab ki haalat likhna !
Meri khatir shab-e-furkat mein na sona tera,
Meri yaadon mein parayshaan sa hona tera,
Aur phir khat mein shab-e-hijr ki baabat likhna,
Kya hua tera har ik roz mujhay khat likhna !
Woh sar-e-shaam khayalon mein meray kho jaana,
Aur phir khud hi tera sharm-saar ho jaana,
Woh akelay mein mujhay pyaar bhara khat likhna,
Kya hua tera har ik roz mujhay khat likhna !
Kis liyey tod diyey toonay sabhi ahd-e-wafa,
Kya huey vaaday mohabbat kay bata kuch to bata,
Kis liyey chod diya toonay mujhay khat likhna,
Kya hua tera har ik roz mujhay khat likhna !
**********************************************************************
Singer : Anup Jalota ; Album : Moods of Anup Jalota
**********************************************************************






Tumharay shehar ka mausam bada suhana lagey,
Main ek shaam chura loon agar bhura na lagey !
Jo doobna hai to itnay sakoon say doobo,
Ki aas paas ki lehron ko bhi pata na lagey !
Tumharay bas mein agar ho to bhool jao hamain,
Tumhay bhulaanay mein shayaad hamain zamaana lagey !
Hamaray pyaar say jalnay lagi hai ik duniya,
Dua karo kisi dushman ki bad-dua na lagey !
Tumharay shehar ka mausam bada suhana lagey,
Main ek shaam chura loon agar bhura na lagey !








Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !
Hai yeh meri badnaseebi tera kya kasoor ismay,
Teray gham nay maar daala mujhay zindagi say pehlay !
Mera pyaar jal raha hai aray chaand aaj chup jaa,
Kabhi pyaar tha hamay bhi teri chaandni say pehlay !
Main kabhi na muskarata jo mujhay yeh ilm hota,
Ki hazaron gham milengay mujhay ik khushi say pehlay !
Yeh ajeeb imtehaan hai ki tumhi ko boolna hai,
Milay kab they is tarah hum tumhay bedilli say pehlay !
Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !
*******************************************************************
Singer : Mehdi Hassan ; Album : Live In India - Mehdi Hassan
*******************************************************************
Hajoomay gham may meray saath chal sako to chalo,
Kadam kadam pay hai mushkil sambhal sako to chalo !
Hamaray beech hain rasom-rivaj ki deewaar,
Tum usko tod kay aagay nikal sako to chalo !
Yeh rah-e-ishq nahin aag ka samundar hai,
Lapakti mauj mein ghar tum sambhal sako to chalo !
Tumhari kashti-e-ulfat hai gham kay toofan mein,
Meri tarah rukh-e-toofan badal sako to chalo !
Hajoomay gham may meray saath chal sako to chalo,
Kadam kadam pay hai mushkil sambhal sako to chalo !
**********************************************************************






"Kissay teri nazar nay sunayey na phir kabhi,
Humnay bhi dil kay daag dikhayey na phir kabhi,
Ae yaad-e-dost aaj tu jee bhar kay dil dukha,
Shayad yeh raat hijr ki aayey na phir kabhi !"



Itna to hua ae dil, ik shakhs kay jaanay say,
Bichday huey miltay hain, kuch dost puranay say !
Ek aag hai jungle ki, rusvai ka charcha hai,
Dushman bhi chalay aayey, milnay kay bhanay say !
Ab mera safar tanha, ab uski juda manzil,
Poocho na pata uska, tum meray thikanay say !
Roshan huey viraanay, khush ho gayee duniya bhi,
Kuch hum bhi sakoon say hain, ghar apna jalanay say !
Rusvai to vaisay bhi taqdeer hai aashiq ki,
Zillat bhi milee humko, ulfat kay fasanay say !
Itna to hua ae dil, ik shakhs kay jaanay say,
Bichday huey miltay hain, kuch dost puranay say !
*****************************************************************
Badnaam meray pyaar ka afsaana hua hai,
Deewaanay bhi kehtay hain ki deewaana hua hai !
Rishta tha tabhi to kisi be-dard nay toda,
Apna tha tabhi to koi be-gana hua hai !
Baadal ki tarah aa kay baras jaayey ik din,
Dil aapkay hotay huey veeraana hua hai !
Bajtay hain khayalon may teri yaad kay ghungroo,
Kuch din say mera ghar bhi pari-khana hua hai !
Mausam nay banaaya hai nikhaon ko sharaabi,
Jis phool ko dekhoon wahi paimana hua hai !
Badnaam meray pyaar ka afsaana hua hai,
Deewaanay bhi kehtay hain ki deewaana hua hai !

dil meraa jis se bahalataa ko_ii aisaa na milaa

dil meraa jis se bahalataa ko_ii aisaa na milaa
but ke bande to mile allaah kaa bandaa na milaa

bazm-e-yaaraa.N se phirii baad-e-bahaarii maayuus
ek sar bhii use aamaadaa-e-saudaa na milaa

[bazm-e-yaaraa.N = gathering of friends; baad-e-bahaarii = spring wind]
[maayuus = disappointed; aamaadaa-e-saudaa = ready to go mad/be obssessed]


gul ke Khvaahaa.N to nazar aaye bahut itr_farosh
taalib-e-zam_zam-e-bul_bul-e-shaidaa na milaa

[Khvaahaa.N = desirous of; itr_farosh = one who trades in perfume]
[taalib-e-zam_zam-e-bul_bul-e-shaidaa = one who wants the song of
the bird who wants to give all to the flower]

so here is the expalanation in Hindi - "phuulo.n par nyochhaavaar
hone vaalii bulbul ke naGmo.n kaa ichchhuk". Hope that helps. **

vaah kyaa raah dikhaa_ii hame.n murshad ne
kar diyaa kaabe ko gum aur kalisaa na milaa

[murshad = teacher (guruu); kaliisaa = church]

sayyad uTThe jo gazaT le ke to laakho.n laaye
shaiKh quraan dikhaataa phiraa paisaa na milaa

[gazaT = gazette (newspaper)]



duniyaa me.n huu.N duniyaa kaa talab_gaar nahii.n huu.N

duniyaa me.n huu.N duniyaa kaa talab_gaar nahii.n huu.N
baazaar se guzaraa huu.N Khariidaar nahii.n huu.N

zindaa huu.N magar ziist kii lazzat nahii.n baaqii
har chand ki huu.N hosh me.n hoshiyaar nahii.n huu.N

is Khaanaa-e-hastii se guzar jaauu.Ngaa belaus
saayaa huu.N faqat naqsh-e-diivaar nahii.n huu.N

afasurdaa huu.N ibarat se davaa kii nahii.n haajat
Gam kaa mujhe ye zauf hai biimaar nahii.n huu.N

vo gul huu.N Khizaa.N ne jise bar_baad kiyaa hai
uljhuu.N kisii daaman se mai.n vo Khaar nahii.n huu.N

yaarab mujhe mahafuus rakh us but ke sitam se
mai.n us kii inaayat kaa talab_gaar nahii.n huu.N

afasurdagii-o-jaur kii kuchh had nahii.n "Akbar"
kaafir ke muqaabil me.n bhii dii.n_daar nahii.N huu.N






saa.Ns lete huye bhii Darataa huu.N

saa.Ns lete huye bhii Darataa huu.N
ye na samajhe.n ki aah karataa huu.N

bahar-e-hastii me.n huu.N misaal-e-hubaab
miT hii jaataa huu.N jab ubharataa huu.N

[bahar-e-hastii = ocean of life]
[misaal-e-hubaab = like a bubble]

itanii aazaadii bhii Ganimat hai
saa.Ns letaa huu.N baat karataa huu.N

sheKh saahab Khudaa se Darate ho
mai.n to angrezo.n hii se Darataa huu.N

aap kyaa puuchhate hai.n meraa mizaaj
shukr allaah kaa hai marataa huu.N

ye ba.Daa aib mujh me.n hai 'akbar'
dil me.n jo aaye kah guzarataa huu.N












Andheron mein jaane kiski parchaayee dhudh raha hun mein
In hawas bhare logon mein wafai dhudh raha hun mein
Shoro gul bhari duniya mein tanhayee dhundh raha hun
Waqt ki dehneez pe rusvaayee dhundh raha hun mein
Mujhe is duniya mein akela chodkar jaanewali
Jaane kyun teri bewafai dhundh raha hun mein