Fareb tha hasi mein

fareb tha hasi mein, aashiqui samajh baithe... maut ko hi apni zindagi samajh baithe....


waqt ka mazak tha ya badnasibi hamari... unki do baton ko chahat samajh baithe.

ek raat wo mile khwab main,


humne pucha kyon thukraya aapne,


jab dekha to unki aankhon main bhi aansu they,


phir kaise puchte kyon rulaya aapne........

jakham aisa diya ke koi dawa kaam na aayi,


aag aisi lagai ke panni se bhi bhuj na paayi,


aaj bhi rote hai hum unki yaad main,


jinhe humari yaad aaj tak naa aayi

Mila woh bhi nahi karte


Mla ham bhi nahi karte


Wafa woh bhi nahi karte


Jafa ham bhi nahi karte


Unhe ruswai ka dukh hai


Hume tanhai ka gam hai


Gila woh bhi nahi karte


shikva ham bhi nahi karte


Kisi mod par takrav ho jata hai aksar


Ruka woh bhi nahi karte


Ruka ham bhi nahi karte

aapki muskan meri kamjori he,na keh pau meri majburi he,


kabhi to samjho meri khamoshi ko,kya kamoshi ko juban dena jaroory he.....

ansuonko kaha TANHAI me aya karo, par mehfil me ake hamara majak na udaya karo ,


ispar ansu tadap kar bole itne logo me bas apko hi TANHA pate he.........

waqt to humain bhula chuka hai mukadar bhi mukadar na bhula dey


doosti hum is liy nahi karty kio k darty hain koi phir se na rola dy

Har ayene ki kismat me tasveer nahi hoti.Har kisi ki ek si taqdeer nahi hoti.


Kuch aur bhi bad naseeb hai is zamane me. Jin ke hataun me mohabbat lakhir nahi hoti

No comments: