BARSON KE BAD DEKHA

Barson ke bad dekha, ik shakhs dil-ruba sa
Ab zehen mein nahi hai, per naam tha bhala sa

Abroo khinche khinche se, aankhein jhuki jhuki si
Batein ruki ruki si, lehja thaka thaka sa

Alfaz they ke jugnoo, awaaz ke safar mein
Ban jaye jangalon mein jis tarha raasta sa

Khuwabon me khuwab us ke, yadon me yad uski
Neendon mein ghul gaya ho jese ke rat-jaga sa

Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein
Wo har tarha se lekin auron se tha juda sa

Agli muhabbaton ne wo naa muradiyan deen
Taza rafaqaton se dil tha dara dara sa

Kuch ye ke muddaton se ham bhi nahi they roye
Kuch zeher mein bujha tha ehbab ka dilasa

Hamne bhi usko dekha kal sham ittifaqan
Apna bhi haal hai ab logon Faraz ka sa

No comments: