Heart Touching Shayari

Dard me koi mausam pyaara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se guzara nahi hota,
Koi dekhe to hamari bebassi,
Hum sab ke ho jate par koi hamara nahi hota


Is do pal ki zindagi mein tanhai kyu hai ?
Logon ko humse ruswai kyu hai ?
Is duniya mein insane kam to nahin…..
Phir mere saath sirf meri parchai kyu hai…


zakhm dene ka aandaz kuch aisa hai,
zakhm dekar puchte hai ab haal kaisa hai,
Zeher dekar kehte hai peena hi hoga,
jab pi gaye zeher to kehte hai ab jeena hi hoga..


Kash wo pal sang bitaye na hote,
Jinko yaad kar aaj yeh aansu aaye na hote,
Khuda ne agar is tareh door le jana hi tha,
To itni gehrayi se dil milaye na hote…

No comments: