Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan ...

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi

Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki

Too Duaa Na Day

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb

Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt

Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah

Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon

Ka Silaa Na Day

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan

Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To

Hawaa Na Day

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam

Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon

Ki Sazaa Na Day

Koi to hota?

Main jis kay dil ki kitab banta

Main jis ki chahat ka khawab banta

Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad

Ban kar azaab banta



Koi to hota?



Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota

Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota

Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota



Koi to hota?



Jo mujh ko dil ka karar kehta

Ragoo ka apni fishar kehta

Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar

Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta



Koi to hota?



Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta

Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta

Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay



Koi to hota?



Main jis kay itna qareeb hota

Na paas koi raqeeb hota

Main tanha uss ka habbib hota

Yeh silsila bhi ajeeb hota

Koi to hota?

KÄħH



Koi to hota?

JAL JAATE HAI

Garmi e a hasrat e nakam se jal jaate hai,
Hum chiraghoon ki tarha sham se jal jaate hai,

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye,
Hum isi aag mein gumnam se jal jaate hai,

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Bach nikalte hai agar atish e siyaal se hum,
Shola aariz e gulfam se jal jaate hai,

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath,
Jaane kyun log mere naam se jal jaate hai.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*